Wednesday 24 August 2016

Forex Guide in Urdu

2 mukhtalif currencies ki buying and selling (khareed o farokht) ko "Forex Trading" kehtay hain. misaal k tor par agar aaap kisi money changer k pas American Dollars lenay jatay hain aor uss se American Dollar ka rate pochtay hain, wo ap ko batata hay k ak Dollar ka rate PKR (pakistani rupee) 105 ka hay, ap PKR 105 us ko dey kar 1 american dollar ley letay hain, to iss tarah se aap ne "forex trading" ki.
matlab ye k ap nay ak currency di (sell ki)  aor uss k badlay mein dosri currency (buy ki) khareed li. to iss tarah se 2 mukhtalif currencies k lain dain (buying and selling) se ap nay forex trading ki.

Forex Trading ka Kaam kesay Start karain ?

inn asaan se kuch steps ko follow kar k ap forex trading start kar saktay hain.


Forex Account kesay banayain?

sub se pehlay inn link par click karain:-

www.anzah.instafx-world.com


iss page ko Scroll down kar k wahan "Open Trading Account" par click karain



Scroll Down the Page

 "Accept Terms of Agreement" par click karain

phir
is status bar mein,  "individual" ko select karain

Phir email address likh kar "Proceed" ka button press kar dain.



Opar diya giya Form Fill karain aor "Proceed" ka button press karain.

Form fill kartay waqt iss bat ka khayal rakhain k form mein apna Naam pata (address) aor tareekh-e-paidaish (date of birth) wohi likhain jo ap k I.D Card mein likha hoa hay, q k account ki tasdeeq k liye ap kay I.D. Card ki zarorat hoti hay. 



apni marzi ka Trader aor Phone PASSWORD likhain
Select Account Type "Standard"
Trading Server mein "Asia" select karain
Leverage 1:100 to 1:1000 mein se koi b select ki ja sakti hay.
Account Currency "USD"
Islamic Swap Free ko select karain
Affiliate Code: JPDT
Aakhir mein TICK in  I agree with the Public offer agreement.

iss k bad aik window khulay gi jis mein ap k account ki tafseelat likhi hoi hon gi, ye tafseelat ap ko email aor mobile number par b send ki jayain gi. in malomaat ko ap mehfooz kar k rakhain q k forex trading k liye ap ko iss ki zarorat paray gi.

Phir "Client Cabinet"par click karain, ap instaforex ki website par ja kar b "client cabinet" mein ja saktay hain. uss k liye ap www.cabinet.instaforex.com type karain aor apna account number aor password likh kar login ho saktay hain.

client cabinet mein ap k account ki saari tafseelaat likhi hon gi, yaheen se ap apnay account mein deposit aor withdraw karaa saktay hain.







"not verified" par click karain
Scroll Down karain aor phir wahan "Choose File" par click karain, phir  apnay scanned I.D.Card ki Front aor Back Side ki files "Upload" karain.

 I.D Card upload karnay k bad ap ye msg blue color mein dekhain gey. 


2 se 3 din mein ap ka account verify ho jaye ga. jab ap ka account verify ho jaye ga to ap ko instaforex ki taraf se ak email ay gi. 

jab ap ka account verify ho jaye to ap client cabinet mein ja kar "Financial Operation" ko click kar k "deposit amount" par click karain. 



in client cabinet at the left side, click on "Financial Operations" and then click on "Deposit Money"

Mukhtalif tareeqay se account mein paisay jama karaye ja saktay hain. ap apni marzi se jis b tariqay se paisay jama karwana chahain ap jama karwa saktay hain

Forex Trading aisa kaam hay jo ap sirf 10 USD (Rs. 1000) se b start kar saktay hain




No comments:

Post a Comment